Friday, June 4, 2010

Ek Dost...

Mila tha ek dost mujhe
Har lamha jisne saath nibhaaya
Par doston ke iss bheed mein
Dosti na nibha paaya...


Aaye bahut paas iss dil ke
Karta raha har ek ki qadr
Jis ek ne kabhi qadr na maanga
Uski kabhi qadr na kar paaya...


Sab apni matlab ke liye
Dil ki qasam lekar chale gaye
Jisne mere liye dil ki qasam khaayi
Uske liye dil na de paaya...


Waqt par waqt lete gaye sab
Waqt mujhse phisalta gaya
Jisne waqt hi waqt diya mujhko
Use waqt par apna waqt na de paaya...


Aaj akela nahi hun is jahaan mein
Par hazaaron ke saath bhi nahi
Aaj paas nahi wo jiski zaroorat hai mujhe
Ek aakhri jhalak jiski na dekh paaya...



Uss Dost ki qadr hamesha karna
Jiski qadar mai na kar paaya...